Bahut se dost to kabhi nahi rahe mere... chand hi hain... haath ki ungliyon ki poron par naam gin sakti hun unke... jab se unhe pata chala hai ki Madam ... yani ki main ...Analyst ho gayi hun.... sab chale aate hain... kuch na kuch analysis karwane ko..... kisi ko kisi ehsaas ki analysis karwani hoti hai... to koi kisi pschyology ki postmartam report lene pahunchti hai.... to tisri ko social structure par meri theoritcal knowledge aur practical experience ki gap analysis chaiye.....
Gaur farmiyaga .... meri sakhiyon ke innn sawalon par:--
"Pyaar" ka mukammal hona kise kehte hain???? use pane me.... sacrifice me.... yaa practical , mature hone ke naam par use yaad na karne ka dikhawa karne me... jabki raah par chalte hue tumhe uski shalk uss insaan me bhi nazar aati hai jises uski shakl dur -dur tak nahi milti....
Kya saare raste aapas me kahin na kahin jude hote hain???Kya Punarjanam ki ye kahaniya sachhi hain... agar haan to Kya main use aise hi agle janam me bhi yaad karungi???
What is the maximum number of times a person can fall in love???? Can a person be in love with more thn one person at the same time???If yes then what is cheating???what is humanity??? where is faith???
Agar pyaar me bitaya ek lamha Zindagi hota hai.... toh ab kya hai.... jo main tumhare bina ji rahi hun???? Maut....yaa kuch aur????
Pyar ki value ka nature kya hota hai.... constant/static or variable..... agar constant hai toh ye pal pal badalta kyon hai.... aur agar ye variable nature ka hai toh hum iske lie logon ko kyon dosh dete hain ki falan ne dhoka dia....?????
Agar main kisi ladke se pyaar karti hun toh iska matlab ye kyon nikala jata hai ki main apne mummy- papa se kum pyaar karti hun????
BPL( Below poverty Line) wali line ki jaroorat kya hai.... kya ye line bhi samaj ko banti nahi hai... jaat paat ke naam par nahi.... economic status ke naam par....
Bhagwan/GOD/Rab/Khuda ki marzi ke bina ek patta bhi nahi hilta....( kehte suna hai logon ko).... Hume bhagwan/God/rab/khuda ne hi banaya hai... ye samjh unki hi di hui hai.... to fir insaan ke duskarmo ka doshi kya bhagwan nahi hai???
Inn sawalon ka zawab kya du main.... Koi analysis nahi kar sakti in tathyo ka main..... Bas Itna keh deti hun.....
I RESIGN FROM THIS POST.....
toh Resign nahi karna padta.....

teri dost to sab pataka hain....gajab questions hai sab ke...madam analyst....kab milwa rahi ho inse.... lolzz....:)
ReplyDeletePataka hmmm tujhe to kabhi aisi language bolte nahi suna....
ReplyDeleteBut thanks kuch yaad aa gaya is word se.... koi purani baat....
:)