Upar wale ne hume banaya hi aisa hai… Kambhakt… Defective piece.
Sara dhyaan bahri saaj sajja par laga diya, din raat chehre ki cutting
sudharta raha… Aankhon ki chamak ka parameter set karta raha aur iss chakkar me
jo sabse jaruri component tha uspar dhyan hi nahi dia… man ko aise hi aadha
adhura chod dia. Ab main man ka ye missing hissa kahan jaake dhundun. Kahin bhi
kuch aisa nahi milta jisse man ka ye khaalipan thoda bhar aaye. Ab ye hai bhi
Divine defect to dharti ki koi cheez kahan se mere adhure man ko pura kar
paayegi… Mere lie to aasamaan se hi koi utar kar aayega ki ye lo bachha upar
wale ki written apology aur tumhare man ka chutta hua hissa.
Tab tak bechaari Naina Agarwal kare to kya kare… Kahan
Bhatke… Sahar sahar ki khaak chaan maare man ka adhura hissa talashne ke lie…
ki bhatakne se thoda chain to milta hai ..jhuti hi sahi par umeed to bandhti
hai ki beta kahin to kuch to milega… chalo pura
pura naa sahi ek tukda hi sahi… taumr bhatak kar sayad man ko lagbhag
pura kar paun… ki haan kuch kami to phir bhi rahegi ki dharti ki fault lines ki
tarah jab naa tab bhuchaal aayega aur man ke samjhaye saare equations bigad kar
chala jaayega.
Kare Koi Bhare koi… Are itti mehnat se banaya tha thoda sa
testing karke dekhni thi naaa niche bhejne se pehle… Aise hi bina testing ke
market me product utaar dete ho, uparwale tere department ka quality control
kasam se ekdum hopeless hai. Main kehti hun kunal se ek achha sa software
integrate karna hi padega ab to jisse uparwale ke saare department me synergy
rahe. Waise ye kar lene se bhi mera kuch nahi hoga ki mujhe apne khash
vishwashniya sutron se abhi pata chala hai ki Main puri ki puri aapki mistake
hun… Aapne special quota me mujhe manga tha… specialy bigadne ke lie, bakiyon
ko jalan hoti hai main factory made nahi hande made hun… wo bhi khuda ke haathon…
ab main sabko kya samjhaun ki khuda hopeless hai insaan banana me…use man hi nahi
banan aata… aata hai to pura karna nahi aata… yaa pura karna aata hai to meri
tarah bas project ke blue print bana ke chod deta hai. Kambhakt mara… are ladki
bana raha tha koi kavita thode likh raha tha ki open ended chod dia ki beta ab
baaki hissa khud se samjho.
Halanki koi badi baat nahi hai isme khuda ki koi galti naa
ho… unko Dealine ke pehle project deliver karnr ko bol dia gaya … to unhone
kachha pakka jo mila target pura karne ke lie bhej dia gaya ho… ho ye bhi sakta
hai ki unhone bhi reasoning karne ki kosis ki ho ki itne time me product ready nahi ho payega… par deadline ke lie responsible koi maha painful chota khuda hoga jo
jaan kha gaya hoga ki ab bhej hi do…outer body par kaam complete ho gaya hai
naa… kya phark padta hai. Khuda ne samjhane ki kosis ki hogi ki Chote abhi iska
man adhura hai…jitna bana hai bahut sundar hai par abhi kuch tukde missing hai…
bas yahin chota ekdum khush ho gaya hoga… man hi to adhura hai naa, kya phark
padta hai… de do aise hi… aise main ladki mar thode naa jayegi… khuda ne kaha
hoga… nahi par taklif me rahegi… bechain rahegi. Chote khuda ne kaha hoga… aise
to dharti par aadhe log rehte hain…ek ye bhi reh legi… bas aur phir kya janab
hum is dharti par rote chillate aa gaye… log samjhe hum bhi baaki bachon ki
tarah ro rahe honge par baat to ye thi ki hum khuda ke khilaf protest kar rahe
the.
Yun agar aap dunia ko dekhen to sabkuch ekdun atomic
clockwise precision se cahlta hai… mere aane se pehle puri dunia me meri jagah kahan hogi… kuch log
honge… pandreh din agar late se aate to sabkuch kitna badla hua saa hota naa…
LIFE… Like LOVE, is all a matter of timing too. To jo log meri zindagi me hain,
ache- bure jaise bhi ahin, perfect hain. Haan mere aane se unki zindagi me bina
matlab ki uthal –puthal jarur ho jaati
hai. Jo bhi mere close friend hain, main unhe kabhi naa kbhi behad pareshaan
jarur kar deti hun… islie bahut soch samjh kar kisi naye insaan se baat karti
hun… Magar scorpion sign ke logon ka jo swabhav hota hai… virodhabhash se bhara
hua… kisi se dosti aksar instinct par karti hun… koi achha lagta hai to bas
aise hi achha lagata hai. Bina karan… phir sochti hun… buri baat hai naa… khud
ko thoda rokna tha… maan lo wo jaan jaaye meri iss betarbit si zindagi me itna important
hai… mujhe kitna pyara hai to use taklif hogi naa… aaj na hogi kal hogi… to
phir haath rokti kyon nahi ladki??
Pata hai kyon? Kyonki man ka wo thoda sa chuta hua hissa jo
hai naa… wo sahron me nahi hai… logon me hai… jise jise main mili hun… Adhura
sa man thoda thoda pura hone laga hai… aur unka pura pura man thoda thoda
adhura hone laga hai… hai naaa bhaut khatarnaak baat? Chalo aaj secret bata hi
diya… ab batao… milego mujhse?
.jpg)
Yes! Milungi... bilkul milungi...
ReplyDeleteKhatarnaak hmmm wo to hai... par mst khatarnaak baat ye hai ki itta khubsurat "man", itna saaf, caring nd loving ab sabke saamne hai...
madam rishte kum pehle aa rahe hain kya?? ye padh kar to saare ladke tere hone wale hain...
aur haan i dnt knw upar wale ki written apology kab aane wali hai bt i m sure jaldi hi upar wale ka banaya hua(hand made) koi defective piece us khali adhurue man ka chuta hissa bas ab lekar aane hi wala hai....
so smile :)
Thank you Mrs. Kucheria kum K3G :)
DeleteRishte aane do who cares...
Aur aapke us khuda made,defective piece ko keh dijiye ki madam s not in mood nw a days so agar wait kar sakte hain den hum sochenge... warna are dunia main achhi ladkiyon ki sach main kami hai ...ye use bata dena ;)
SMILE hmmm to ye lo... :))))))
isme kab kajoosi kie re hum... bol to ladki!!!